Wednesday, June 24, 2015

Mere Dost


Tu nahi toh zindagi me aur kya reh jayega
Bas yaado ka kafira sa kahi teher sa jayega.

Kitni baaten thi tujhse kehni.
Kitni kahaniya batani.
Tu kya chala gaya, Waqt hi jaise tham sa gaya.

Kehete hai kabhi kabhi farishte insaan ke roop lete hai.
Tumhare jaane se humne ek dost ko apna farishta bana liya.

Kabhi sochti hu, wo bhi koi umr thi jaane ki.
Tu naraz tha ya humne koshish nahi ki manane ki.

Aaj dil se dua nikali hai jaha kahi ho khush raho.
Yaado me hum tumhare saath hone ka ehsaas dhund lenge.

Aur fir kabhi na yeh kahenge.
Tu nahi to zindagi me aur kya reh jayega.

No comments: